Best SMS Collection

Posted by malik naveed On Monday 11 April 2011 0 comments


Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota

Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota




*****************



Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana

Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana

Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana

Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana




*****************



Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai

Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai

Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai

Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai




*****************



Bas ek zara khayal iss dosti ka ha
Warna bohut gila teri berukhi ka tha

mujko laga main be teri zindagi mai hoon
Per yeh tho koe dhoka meri saddgi ka tha




*****************



tumhain rusva karun aisa to hargiz ho nai sakta
tumhari yad hi dil ko bhot be-chain rakhti hy

tumhain pane ki aik mohum si umeed rehti hy
mai apni sargazishton se tumhain agah kr betha




*****************



Udaas nahi hona kyonki me saath hu,
Saamne na sahi par aas-paas hon,

Palko ko band karo jab bhi dil me dekhoge,
Mein har pal tumhaare sath sath hon.




*****************



Jo Haadsay Yah Jahan Meray Naam Kerta Ha
Meraa Shaour Unhein Nazr-e-Jaam Kerta Ha

Hamaray Chaak Greibaan Say Khailnay Walo!
Humein Bahaar Ka Soraj Salam Kerta Ha




*****************



us ko juda hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qisa puranaa bahut hua

dhalti na thi kisi bhi jatun se shab-e-firaq
ai marg-e-nagahan tera ana bahut hua




*****************



tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
tum se to kam gila hai ziyada nasib se

goya tumhari yad hi mera ilaj hai
hota hai pahron zikr tumhara tabib se

barbad-e-dil ka akhri saramaya thi umid
vo bhi to tum ne chhin liya mujh garib se

dhundla chali nigah dam-e-wapasi hai ab
a pas a ke dekh lu tujh ko qarib se




*****************



chand nikle kisi janib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka

daulat-e-lab se phir ai khusraw-e-shirin-dahan
aj riza ho koi harf shanasai ka

dida-o-dil ko sambhalo k sar-e-sham-e-firaq
saz-o-saman baham puhuncha hai ruswai ka




*****************



Mainbhi khamosh nigahon say usay dekhta hoon,
Wo bhi chupke say kabhi aa k sada deti hai,

Kya khabar kal ki magar hamne suna hai aksar,
Rafta rafta yeh ada pyar barha deti hai.......!!!




*****************



Zikr-e-ulfat jab chala ek hadsa yaad aagaya,
Zakham dilke has diye wo bewafaya yaad aagaya,

Is tarah na guzri dardke maron ki raat,
Dard kuch itna badha bus khuda yaad aagaya...




*****************



Dostee ghazal hai gungunaanay kay liyee,
Dostee naghma hay sunanay k liye,
Yeh woh jazba hay jo sub ko milta nahin,
Kiyon k hosla chahiye dosti nibhanay k liye..



*****************


kuch din tou basso mayree aankhon mein
fir khawaab ager hoo jaoo tou kiyaa

koee rang tou do meray chehray ko
fir zakham ager mehakao tou kiyaa

ik aiyeena thaa soo tooot gayaa
ab Khood say ager sharamaoo tou kiyaa

mein tunhaaa thaa mein tunha hooN
tum aaoo tou kiyaa naa aaoo tou kiyaa


*****************
 

0 comments:

Register and send free sms to your friends !!!

Powered by Blogger.